taza mohabbaton ka nasha jism-o-jaan mein hai

taza mohabbaton ka nasha jism-o-jaan mein hai
phir mausam-e-bahaar mere gulsitan mein hai

ek khwab hai ki bar-e-digar dekhte hain hum
ek aashna si raushni sare makan mein hai

tabish mein apni mahr-o-mah-o-najm se siwa
jugnu si ye zamin jo kaf-e-asman mein hai

ek shakh-e-yasmin thi kal tak khizan-asar
aur aaj sara bagh usi ki aman mein hai

khushbu ko tark kar ke na lae chaman mein rang
itni to sujh-bujh mere baghban mein hai

lashkar ki aankh mal-e-ghanimat pe hai lagi
salar-e-fauj aur kisi imtihan mein hai

har jaan-nisar yaad-dahani mein munhamik
neki ka har hisab dil-e-dostan mein hai

hairat se dekhta hai samundar meri taraf
kashti mein koi baat hai ya baadban mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close