na tera qurb na baada hai kya kiya jae

na tera qurb na baada hai kya kiya jae
phir aaj dukh bhi ziyaada hai kya kiya jae

hamein bhi arz-e-tamanna ka dhab nahin aata
mizaj-e-yar bhi sada hai kya kiya jae

kuchh apne dost bhi tarkash-ba-dosh phirte hain
kuchh apna dil bhi kushada hai kya kiya jae

wo mehrban hai magar dil ki hirs bhi kam ho
talab karam se ziyaada hai kya kiya jae

na us se tark-e-talluq ki baat kar paen
na hamdami ka irada hai kya kiya jae

suluk-e-yar se dil dubne laga hai 'faraaz'
magar ye mahfil-e-ada hai kya kiya jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close