tera KHayal hai dil-e-hairan liye hue

tera khayal hai dil-e-hairan liye hue
ya zarra aaftab ka saman liye hue

dekha unhen jo dida-e-hairan liye hue
dil rah gaya jarahat-e-pinhan liye hue

main phir hun iltifat-e-gurezan ka muntazir
ek yaad-e-iltifat-e-gurezan liye hue

main chhedne laga hun phir apni nai ghazal
aa jao phir tabassum-e-pinhan liye hue

kya bebasi hai ye ki tere gham ke sath sath
main apne dil mein hun gham-e-dauran liye hue

furqat teri to ek bahana thi warna dost
dil yun bhi hai mera gham-e-pinhan liye hue

ab qalb-e-muztarib mein nahin tab-e-dard-e-hijr
ab aa bhi jao dard ka darman liye hue

sirf ek shrt-e-dida-e-bina hai ai kalim
zarre bhi hain tajlli-e-pinhan liye hue

main ne ghazal kahi hai jigar ki zamin mein
dil hai mera nadamat-e-pinhan liye hue

aazad zauq-e-did na ho kham to yahan
har aaina hai jalwa-e-jaanan liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close