tera wasl hai mujhe be-khudi tera hijr hai mujhe aagahi tera wasl mujh ko firaq hai tera hijr mujh ko visal hai main hun dar par us ke pada hua mujhe aur chahiye kya bhala mujhe be-pari ka ho kya gala meri be-pari par-o-baal hai wahi main hun aur wahi zindagi wahi subh o sham ki sar khushi wahi mera husn-e-khayal hai wahi un ki shan-e-jamal hai