tere aage adu ko nama-bar mara to kya mara

tere aage adu ko nama-bar mara to kya mara
na mara jaan se jis dam us ko gar mara to kya mara

agar dil marte apna to kyun ye zillaten pate
teri khwahish mein zalim hum ne sar mara to kya mara

wo maren qahqaha sun kar meri sina-zani ka haal
idhar mara to kya mara udhar mara to kya mara

tumhaare hath to le leta apne hath se haihat
dupatte se jo pahonche bandh kar mara to kya mara

na dekho dur se hi mujh ko in tedhi nigahon se
kisi ko tir tum ne phenk kar mara to kya mara

saba ye kab jalan hoti jo sham-e-hijr gul hoti
tapancha shama ko waqt-e-sahar mara to kya mara

hua hai meri ruswai se tere husn ka shohra
jo mujh ko jaan se ai bedad-gar mara to kya mara

teri duri mein be-tasir gar roe to kya roe
teri furqat mein nara be-asar mara to kya mara

kahin hota hai dil ka josh-e-sauda kam abas ragzan
ragon mein meri tu ne neshtar mara to kya mara

'nizam' is nafs-e-ammara ki gardan bhi kabhi todi
jawan-mardi ka dam tum ne agar mara to kya mara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close