tere dard se jis ko nisbat nahin hai

tere dard se jis ko nisbat nahin hai
wo rahat musibat hai rahat nahin hai

junun-e-mohabbat ka diwana hun main
mere sar mein sauda-e-hikmat nahin hai

tere gham ki duniya mein ai jaan-e-alam
koi ruh mahrum-e-rahat nahin hai

mujhe garm-e-nazzara dekha to hans kar
wo bole ki is ki ijazat nahin hai

jhuki hai tere bar-e-irfan se gardan
hamein sar uthane ki fursat nahin hai

ye hai un ke ek ru-e-rangin ka partaw
bahaar-e-tilism-e-latafat nahin hai

tere sarfaroshon mein hai kaun aisa
jise dil se shauq-e-shahadat nahin hai

taghaful ka shikwa karun un se kyunkar
wo kah denge tu be-murawwat nahin hai

wo kahte hain shokhi se hum dilruba hain
hamein dil nawazi ki aadat nahin hai

shahidan-e-gham hain subuk ruh kya kya
ki us dil pe bar-e-nadamat nahin hai

namuna hai takmil-e-husn-e-sukhan ka
guhar bari-e-taba-e-hasrat nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close