toD kar ahd-e-karam na-ashna ho jaiye

tod kar ahd-e-karam na-ashna ho jaiye
banda-parwar jaiye achchha khafa ho jaiye

mere uzr-e-jurm par mutlaq na kije iltifat
balki pahle se bhi badh kar kaj-ada ho jaiye

khatir-e-mahrum ko kar dijiye mahw-e-alam
dar-pa-e-iza-e-jaan-e-mubtala ho jaiye

rah mein miliye kabhi mujh se to az-rah-e-sitam
hont apna kat kar fauran juda ho jaiye

gar nigah-e-shauq ko mahw-e-tamasha dekhiye
qahr ki nazron se masruf-e-saza ho jaiye

meri tahrir-e-nadamat ka na dije kuchh jawab
dekh lije aur taghaful-ashna ho jaiye

mujh se tanhai mein gar miliye to dije galiyan
aur bazm-e-ghair mein jaan-e-haya ho jaiye

han yahi meri wafa-e-be-asar ki hai saza
aap kuchh is se bhi badh kar pur-jafa ho jaiye

ji mein aata hai ki us shokh-e-taghaful-kesh se
ab na miliye phir kabhi aur bewafa ho jaiye

kawish-e-dard-e-jigar ki lazzaton ko bhul kar
mail-e-aram o mushtaq-e-shifa ho jaiye

ek bhi arman na rah jae dil-e-mayus mein
yani aakhir be-niyaz-e-muddaa ho jaiye

bhul kar bhi us sitam-parwar ki phir aae na yaad
is qadar begana-e-ahd-e-wafa ho jaiye

hae ri be-ikhtiyari ye to sab kuchh ho magar
us sarapa naz se kyunkar khafa ho jaiye

chahta hai mujh ko tu bhule na bhulun main tujhe
tere is tarz-e-taghaful ke fida ho jaiye

kashmakash-ha-e-alam se ab ye 'hasrat' ji mein hai
chhut ke in jhagdon se mehman-e-qaza ho jaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close