tere firaq mein jo aankh se rawan hua hai wo ashk-e-khun hi mere gham ka tarjuman hua hai hai jaane kya pas-e-diwar aaina jis par yaqin kar ke bhi dil waqf-e-sad-guman hua hai burida shakh-e-shajar ka shikasta patton ka tere siwa bhi koi mauja-e-khizan hua hai zara si der ko us ne palat ke dekha tha zara si baat ka charcha kahan kahan hua hai bichhad ke tujh se tha 'khurshid' ka thikana kya khusha-nasib shab-e-gham ka aastan hua hai