tere ghamon se ibarat hai ab KHushi meri

tere ghamon se ibarat hai ab khushi meri
guzar rahi hai saliqe se zindagi meri

kabhi jo zarra-e-khaki ka koi zikr chhida
nigah uth ke sitaron pe jam gai meri

ye aur baat ki jine ka lutf aa na saka
tere baghair bhi guzri hai zindagi meri

wo kaif hai ki ab aapa bhi koi hosh nahin
ye kis maqam pe lai hai be-khudi meri

palak palak pe sitare saje hue hain 'ziya'
ye un ka husn-e-nazar hai ki raushni meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close