ab faisla karne ki ijazat di jae

ab faisla karne ki ijazat di jae
ya phir hamein manzil ki bashaarat di jae

diwane hain hum jhut bahut bolte hain
hum ko sar-e-bazar ye izzat di jae

phir gard-e-mah-o-sal mein at jaenge
aaina banaya hai to surat di jae

israr hi karte ho to apna samjho
dena hi agar hai to mohabbat di jae

wo jis ne mujhe qatl pe uksaya tha
us shakhs se milne ki bhi mohlat di jae

jab meri gawahi bhi mere haq mein nahin
phir shahr mein kis kis ki shahadat di jae

hum jagte rahne ke bahut aadi hain
hum ko shab-e-hijran ki masafat di jae

chhid jae to tabqat ki ab jang 'salim'
kuchh bhi ho magar hum ko na zahmat di jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close