tere ghar ki bhi wahi diwar thi darwaza tha phir wahi baaten huin jin ka mujhe andaza tha sard patthar jaan-faza malbus mein lipte hue hae wo duniya jahan chehre na the ghaza tha har nafas raushan hua mere lahu ke rang se zindagi kya thi mera bikhra hua shiraaza tha rah gai hain ab mere hathon mein sukhi patiyan sabr ki taqat kahan thi phul jab tak taza tha sochte rahte the kyun tar-e-nafas katta nahin be-talab jina hamare jurm ka khamyaza tha jo bulati thi mujhe sehn-e-gulistan ki taraf phul ki khushbu nahin thi barq ka aawaza tha jab chadhe dariya pahadon ko baha kar le gae dar rahe the sab magar itna kise andaza tha