tere khayal ko zanjir karta rahta hun main apne khwab ki tabir karta rahta hun tamam rang adhure lage tere aage so tujh ko lafz mein taswir karta rahta hun jo baat dil se zaban tak safar nahin karti usi ko sher mein tahrir karta rahta hun dukhon ko apne chhupata hun main dafinon sa magar khushi ko hama-gir karta rahta hun guzishta rut ka amin hun nae makan mein bhi purani int se tamir karta rahta hun mujhe bhi shauq hai duniya ko zer karne ka main apne aap ko taskhir karta rahta hun zamin hai ki badalti nahin kabhi mehwar main kaisi kaisi tadabir karta rahta hun jo main hun us ko chhupata hun sare aalam se jo main nahin hun wo tashhir karta rahta hun