tere wadon ka etibar kise

tere wadon ka e'tibar kise
go ki ho tab-e-intizar kise

ek nazar bhi hai did-e-muft-nazar
itni fursat bhi ai sharar kise

jun nagin yan siwae ru-siyahi
dahr karta hai nam-dar kise

dil to duba ab aur dekhen dubaen
ye meri chashm-e-ashk-bar kise

tere wadon ko main samajhta hun
dhoka deta hai mere yar kise

tu baghal se gaya tha dil bhi gaya
aur le baithun darkinar kise

main to kya aur bhi siwae saba
tere kuche talak guzar kise

dekhta hi nahin wo mast-e-naz
aur dikhlaun haal-e-zar kise

khub dekhe 'asar' ne qaul-o-qarar
ab tere qaul par qarar kise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close