wo bhul gaya mujh se barson ki shanasai lamhon ne khata ki thi sadiyon ne saza pai haalat ka ab main hun khamosh tamashai bhai se tadapta hai milne ke liye bhai taswir tasawwur hi bas ek sahaara hai furqat ne bana dala us ki mujhe saudai jazbaat the be-qabu karta bhi to kya karta us rashk-e-gul-e-tar ki jab yaad mujhe aai yaadon ke jharokon se hasrat hai use dekhun pahle tha jo aankhon ki meri kabhi binai wo dekhna mud mud kar us ka mujhe hasrat se baqi na rahi meri jab quwwat-e-goyai jo tar-e-rag-e-jaan par har-waqt ghazal-khwan thi ras gholti hai ab bhi kanon mein wo shahnai duzdida-nigahi mein kho jata tha dil jin ki un jhil si aankhon ki yaad aai hai gahrai deta hai koi dastak aa aa ke dar-e-dil par kate nahin katti hai 'barqi' shab-e-tanhai