teri aawaz mein bhi koi aawaza nahin hota

teri aawaz mein bhi koi aawaza nahin hota
teri baaton se ab to koi andaza nahin hota

kabhi baithak teri dopahar mein aabaad rahti thi
khula ab sham ko bhi ghar ka darwaza nahin hota

kabhi wo ek ishaare se samajh jata tha sari baat
jatan karne se bhi ab us ko andaza nahin hota

bahut hi ban-sanwar kar aaj-kal ghar se nikalta hai
magar ye kya ki wo chehra tar-o-taza nahin hota

kabhi dukh aa ke rahte hain kabhi sukh aa ke rahte hain
kisi par band apne ghar ka darwaza nahin hota

mere bare mein wo kya sochta hai mud kaisa hai
ab us se sham ko bhi mil ke andaza nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close