teri gali mein gae kitne mah o sal hue

teri gali mein gae kitne mah o sal hue
guzar gae kai mausam hamein bahaal hue

zaban mein thi abhi luknat ki harf-e-ishq kaha
ladakpana tha ki zanjir-e-khadd-o-khal hue

main muskuraata raha aur muskuraata raha
sawal mujh pe kai mere hasb-e-haal hue

nahin ki kohkan o qais ka zamana nahin
magar ye baat ki ye log khal khal hue

thahar gaya sawa neze pe aan kar suraj
guzar gain kai sadiyan hamein zawal hue

phir us ki yaad ne dastak dil-e-hazin par di
phir aansuon mein nihan us ke khad-o-khal hue

misal-e-naqsh-e-kaf-e-pa na uth sake 'tahsin'
ba-rang-e-sabza hum is darja paemal hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close