teri madad ka yahan tak hisab dena pada charagh le ke mujhe aaftab dena pada har ek hath mein do do sifarshi khat the har ek shakhs ko koi khitab dena pada talluqat mein kuchh to darar padni thi kai sawal the jin ka jawab dena pada ab is saza se badi aur kya saza hogi nae sire se purana hisab dena pada is intizam se kya koi mutmain hota kisi ka hissa kisi ko janab dena pada