tha man bahut jis pe judai nahin deta

tha man bahut jis pe judai nahin deta
ab dhund raha hun to dikhai nahin deta

tu qad mein bada hai so mujhe chikhna hoga
kahte hain bulandi pe sunai nahin deta

par kat ke wo bab-e-qafas khol raha hai
aisa bhi nahin hai ki rihai nahin deta

raushan hai wo itna ki use dur se dekho
nazdik se wo shakhs dikhai nahin deta

andha hai jise sans dikhai nahin deti
bahra hai jise zakhm sunai nahin deta

wo shakhs na bole to mujhe lagta hai aise
jaise koi barson ki kamai nahin deta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close