TuT kar aalam-e-ajza mein bikharte hi rahe

tut kar aalam-e-ajza mein bikharte hi rahe
naqsh-e-tamir jahan ban ke bigadte hi rahe

apne hi wahm-o-tazabzub the kharabi ka sabab
ghar aqidon ke basae to ujadte hi rahe

jaane kya baat hui mausam-e-gul mein ab ke
pankh panchhi ke fazaon mein bikharte hi rahe

chand yaadon ki panah-gah mein jaane kyun hum
saya-e-sham ki manind simatte hi rahe

hum ne har rang se chehre ko sajaya lekin
apni pahchan ke aasar bigadte hi rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close