thak gaya hai dil-e-wahshi mera fariyaad se bhi ji bahalta nahin ai dost teri yaad se bhi ai hawa kya hai jo ab nazm-e-chaman aur hua said se bhi hain marasim tere sayyaad se bhi kyun sarakti hui lagti hai zamin yan har dam kabhi puchhen to sabab shahr ki buniyaad se bhi barq thi ya ki sharar-e-dil-e-ashufta tha koi puchhe to mere aashiyan-barbaad se bhi badhti jati hai kashish wada-gah-e-hasti ki aur koi khinch raha hai adam-abaad se bhi