nauhagaron mein dida-e-tar bhi usi ka tha

nauhagaron mein dida-e-tar bhi usi ka tha
mujh par ye zulm bar-e-digar bhi usi ka tha

dekha mujhe to tark-e-talluq ke bawajud
wo muskura diya ye hunar bhi usi ka tha

aankhen kushad-o-bast se badnam ho gain
suraj usi ka khwab-e-sahar bhi usi ka tha

khanjar-dar-astin hi mila jab kabhi mila
wo tegh khinchta to ye sar bhi usi ka tha

nishtar chubhe hue the rag-e-jaan ke aas-pas
wo chaaragar tha aur mujhe dar bhi usi ka tha

mahfil mein kal 'faraaz' hi shayad tha lab-kusha
maqtal mein aaj kasa-e-sar bhi usi ka tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close