thakan se chur badan dhul mein aTa sar tha

thakan se chur badan dhul mein ata sar tha
main jab gira to mere samne mera ghar tha

tahi-e-samar shajar-e-khwab kuchh nidhaal se the
zamin pe sukhi hui pattiyon ka bistar tha

usi ki aab thi us shab mein raushni ki lakir
wo ek shakhs ki jo kanch se bhi kam-tar tha

nahin ki gard hain sat aasman hi gardish mein
zamin ki tarah mere panw mein bhi chakkar tha

main aaj bhi usi basti mein ji raha hun jahan
kisi ke hath mein khanjar kisi ke patthar tha

badha ke hath khizan ki ruton ne noch liya
hawa ke jism pe jo khushbuon ka zewar tha

saron pe abr-kusha dhup ki tamazat thi
'najib' zer-e-qadam ret ka samundar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close