tir jaise kaman se nikla

tir jaise kaman se nikla
harf-e-haq tha zaban se nikla

qaid-e-hasti se chhutne wala
waqt ke imtihan se nikla

tik na paya hawa ke jhonkon mein
par shikasta udan se nikla

sher aaya kachhaar se bahar
aur shoala machan se nikla

gham wo kanta ki aakhiri dam tak
dil ko chhoda na jaan se nikla

jab ajal jhankti phiri ghar ghar
kaun zinda makan se nikla

zulmaton ka safir tha kya tha
saya ek saeban se nikla

maslahat rokti rahi 'ejaz'
tha jo dil mein zaban se nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close