tir o kaman, KHanjar o talwar ban gae

tir o kaman, khanjar o talwar ban gae
dushman mila to hath bhi hathiyar ban gae

lafzon ke kaise kaise maani badal gae
kirdar-kush bhi sahab-e-kirdar ban gae

jab se koi usul-e-tijarat nahin raha
bazriyon ke nam pe bazar ban gae

qadghan ke bawajud kahan aa gaya hun main
darwaze mere samne diwar ban gae

us ki zaban pe harf the unwan ki tarah
afsane saikdon pas-e-izhaar ban gae

is qafile mein gard barabar thi jin ki zat
wapas hue to qafila-salar ban gae

khat khinchte hue koi bachcha bada hua
kal ke khutut aaj ke shahkar ban gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close