tu gaya lekin teri yaaden yahan par rah gain baad tere bas teri baaten zaban par rah gain pahle teri zat ka paikar kahin par gum hua aur na jaane phir teri yaaden kahan par rah gain aaj phir aisa hua jab soch kar tujh ko ai dost aasman takti nigahen aasman par rah gain kya sitam hai kal talak jo samne aankhon ke thin aaj wo sab suraten wahm-o-guman par rah gain dastan-e-zindagi ke harf kab ke mit chuke kuchh lakiren si faqat ab dastan par rah gain waqt-e-akhir chal diye tanha safar ki aur hum sab ki sab chizen jahan ki is jahan par rah gain