tu ne nazar se pyas ki dekha bhi hai kahin

tu ne nazar se pyas ki dekha bhi hai kahin
gard-e-jabin-e-dasht mein dariya bhi hai kahin

phirta raha hun jis ke taaqub mein umr-bhar
kya naqsh us khayal ne chhoda bhi hai kahin

ya sab hi meri tarah ke aawara-gard the
dil mein koi qarar se baitha bhi hai kahin

hum bhi ajab the ghaaron mein utre ye dekhne
bach kar nikalne ka koi rasta bhi hai kahin

kuchh dekhte ki khak mein hain dafn khwab kya
ye gard-baad lamhe ko thahra bhi hai kahin

phulon ki samt hath badhao ye soch kar
afi siyah shakh se lipta bhi hai kahin

sari sadaen ghaib se aati nahin 'shafaq'
koi zarur dasht mein baitha bhi hai kahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close