log hilal-e-sham se baDh kar pal mein mah-e-tamam hue

log hilal-e-sham se badh kar pal mein mah-e-tamam hue
hum har burj mein ghatte ghatte subh talak gumnam hue

un logon ki baat karo jo ishq mein khush-anjam hue
najd mein qais yahan par 'insha' khar hue nakaam hue

kis ka chamakta chehra laen kis suraj se mangen dhup
ghur andhera chha jata hai khalwat-e-dil mein sham hue

ek se ek junun ka mara is basti mein rahta hai
ek hamin hushiyar the yaro ek hamin bad-nam hue

shauq ki aag nafas ki garmi ghatte ghatte sard na ho
chah ki rah dikha kar tum to waqf-e-daricha-o-baam hue

un se bahaar o bagh ki baaten kar ke ji ko dukhana kya
jin ko ek zamana guzra kunj-e-qafas mein ram hue

'insha'-sahib pau phatti hai tare dube subh hui
baat tumhaari man ke hum to shab bhar be-aram hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close