tu pasheman na ho main shad hun nashad nahin zindagi tera karam hai teri bedad nahin wo sanam-khana-e-dil ho ki guzar-gah-e-khayal main ne tujh ko kahin dekha hai magar yaad nahin dekh ai khak-e-pareshani-e-khatir meri tu ne samjha tha ki tujh sa koi barbaad nahin dhundti phirti hain jaane meri nazren kis ko aisi basti mein jahan koi bhi aabaad nahin kab hamein apni udasi ki khabar thi ai 'zeb' muskurae hain to dekha hai ki dil shad nahin