tughyani se dar jata hun jism ke par utar jata hun aawazon mein bahte bahte khamoshi se mar jata hun band hi milta hai darwaza raat gae jab ghar jata hun nind adhuri rah jati hai sote sote dar jata hun chahe baad mein man bhi jaun pahli bar mukar jata hun thodi si barish hoti hai kitni jaldi bhar jata hun kitne dinon ki dahlizon se raat ke sath guzar jata hun