un aankhon ki hairat aur dabiz karun kyun na tujhe bhi aaina tajwiz karun harf-e-na-gufta bich mein hail hai kab se bab-e-sukhan mein khamoshi taqriz karun fursat-e-shab mein tera dhyan aa jata hai kunj-e-chaman kyunkar ghar ki dahliz karun aankhen mund jaengi manzar bujhne tak is asna mein khwab kise tafwiz karun