tujh sa nahin jahan mein khun-rez dusra paida hua kahan se tu changez dusra sine mein mere hai jo dil-e-daghdar ishq ye shams dusra hai ye tabrez dusra ghaalib ko kyon zuhuri-e-sani na jaaniye dilli ko kyon samajhiye na tarshez dusra tera lab aur mera lab-e-jam aur hai hai ek pur-shakar namak-amez dusra