gil hai aariz to qadd-e-yar darakht kab ho aisa bahaar-dar darakht rashk se ek nihaal qad ke tere kat gae jal gae hazar darakht khwahish-e-sang thi jo majnun ko qabr par bhi hai mewa-dar darakht kis ki wahshat ne khak udai hai dasht mein hain jo pur-ghubar darakht daman-e-yar us se uljhega ho na gulshan mein khar-dar darakht nala-e-kohkan se jal utthe the jo baala-e-kohsar darakht dast-e-rangin ka us ke kushta hun ho hina ka sar-e-mazar darakht jis jagah dafn tha ye sokhta-jaan na uga wan se zinhaar darakht zinat-e-khana-bagh kaun hai aaj sajda karte hain bar-dar darakht barg malte hain jo kaf-e-afsos kis ke gham mein hain sogwar darakht gulshan-e-ishq ka tamasha dekh sar-e-mansur phal hai dar darakht dekhen gar tere qad ki baalai sar uthaen na zinhaar darakht be-samar ek raha ye nakhl-e-murad yun to phule-phale hazar darakht teri duri mein ai gul-e-khubi sukh kar ho gae hain zar darakht saf-ba-saf hain khade jo gulshan mein kab se bandhe hue qatar darakht dekhte hain su-e-dar-e-gulzar kis ke hain mahw-e-intizar darakht mausam-e-gul hai josh-e-masti hai lae gulshan mein barg-o-bar darakht ji mein aata hai mai-kashi kije tak kar koi saya-dar darakht aalam-e-sheb mein hun yun 'ghafil' bagh mein jaise be-bahaar darakht