tujhe kho kar kisi se pyar hona chahiye tha

tujhe kho kar kisi se pyar hona chahiye tha
hamein itna to duniya-dar hona chahiye tha

abhi tak khul nahin paya ki teri dastan mein
hamara kaun sa kirdar hona chahiye tha

kisi ke faisle ko mustarad karne se pahle
hamein bhi ghair jaanib-dar hona chahiye tha

kahan tak us kinare par rahenge hum ki ab to
ye dariya bhi kahin se par hona chahiye tha

badalni chahiye thi khak ki tasir 'shahzad'
hamare khun ko talwar hona chahiye tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close