tujhko KHiffat se bacha lun pani

tujh ko khiffat se bacha lun pani
tishnagi apni chhupa lun pani

khak udti hai har ek chehre par
kis ki aankhon se nikalun pani

dhup dariya pe nazar rakhti hai
tujh ko kuze mein chhupa lun pani

udte phirte hain saron par baadal
khwab aankhon mein basa lun pani

roz bachchon ko sula dun yunhi
roz patthar ko ubaalun pani

aag se khelta hai kal mujh ko
aa tujhe apna bana lun pani

kharzaron pe chalun nange panw
khushk dharti ki dua lun pani

sabr ki had bhi to kuchh hoti hai
kitna palkon pe sambhaalun pani

bhul jaun na kahin tairaki
kyun na kashti hi jala lun pani

apni wahshat ka ek izhaar sahi
kar ke sard aag jala lun pani

zakhm ho phul ho ya angara
ho jo raushan to bula lun pani

shart hai teri rifaqat warna
waqt ki aag mein dalun pani

aag matlub-e-lab-e-tishna hai
main tujhe kaise bula lun pani

chashm-e-ahbab jo ho khushk 'ata'
khun ko apne bana lun pani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close