tujh ko socha to pata ho gaya ruswai ko main ne mahfuz samajh rakkha tha tanhai ko jism ki chah lakiron se ada karta hai khak samjhega musawwir teri angdai ko apni dariyai pe itra na bahut ai dariya ek qatra hi bahut hai teri ruswai ko chahe jitna bhi bigad jae zamane ka chalan jhut se haarte dekha nahin sachchai ko sath maujon ke sabhi hon jahan bahne wale kaun samjhega samundar teri gahrai ko apni tanhai bhi kuchh kam na thi masruf 'wasim' is liye chhod diya anjuman-arai ko