tujhse nazar mila kar diwana ho gaya main

tujh se nazar mila kar diwana ho gaya main
kuchh raaz ban gaya kuchh afsana ho gaya main

apne liye bahaya khun-e-jigar to kya gham
tere liye to rangin afsana ho gaya main

han ab utha rahe ho diwana-war nazren
jab tum se tang aa kar diwana ho gaya main

ye soch kar ki shayad parwana-war aao
afsurda sa charagh-e-gham-khana ho gaya main

hat kar ghamon se akasr thukra diya ghamon ko
akasr ghamon se ghut kar diwana ho gaya main

teri nazar mein rah kar ek raaz ban gaya tha
gir kar teri nazar se afsana ho gaya main

ek bar aur dekha hasrat se un ki jaanib
phir rafta rafta un se begana ho gaya main

ab to meri khamoshi sab kah chuki hai tum se
ab to suna-sunaya afsana ho gaya main

hai kal aansuon ka kyun chashm-e-gham mein 'jazbi'
kis rind-e-tishna-lab ka paimana ho gaya main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close