tum hamein ek din dasht mein chhod kar chal diye the tumhein kya khabar ya akhi kitne mausam lage hain hamare badan par nikalne mein ye baal-o-par ya akhi shab-gazida dayaron ke naqa-sawaron mein mahtab-chehra tumhaara na tha khak mein mil gae rah takte hue sab khamida kamar baam-o-dar ya akhi jang ka faisla ho chuka hai to phir mere dil ki kamin-gah mein kaun hai ek shaqi katta hai tanaben mere khema-e-khwab ki raat bhar ya akhi ye bhi achchha hua tum is aashob se apne sarsabz bazu bacha le gae yun bhi ku-e-ziyan mein lagana hi tha hum ko apne lahu ka shajar ya akhi nahr is shahr ki bhi bahut mehrban hai magar apna rahwar mat rokna hijraton ke muqaddar mein baqi nahin ab koi qarya-e-mo'tabar ya akhi zard patton ke thande badan apne hathon pe le kar hawa ne shajar se kaha agle mausam mein tujh par nae barg-o-bar aaenge tab talak sabr kar ya akhi