tum the KHuda tha aur mujassam dua tha main

tum the khuda tha aur mujassam dua tha main
yunhi tumhaare nam na likkha gaya tha main

khwahish ke phailte hue manzar mein tum hi tum
jazbon ke ek hisar mein simta hua tha main

kuchh ye bhi tha ki tum ne mujhe aasman kiya
kuchh yun bhi tha ki khud mein kahin kho gaya tha main

tum ne hi naqsh naqsh kiya har lakir ko
warna khud apne rup kahan jaanta tha main

ek tum hi jaante the meri sari aadaten
be-sakhta mizaj tha kab sochta tha main

main tum ko dekhta tha kisi aur rup mein
wahshat-zada the khwab magar dekhta tha main

phir tum bhi ho gae mere mazi ka ek bab
phir qasr-e-e'tibar mein tanha khada tha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close