zaban izhaar lahja bhul jaun mere mabud kya kya bhul jaun bikhar jaun zamin se aasman tak phir aisa ho simatna bhul jaun main tera nam itni bar likkhun ki apna nam likhna bhul jaun teri parchhain to le aaun ghar tak kahin apna hi saya bhul jaun teri aawaz to pahchan lunga ye mumkin hai ki chehra bhul jaun kabhi ye bhi to ho bhatkun jahan mein aur apne ghar ka rasta bhul jaun junun-e-bandagi ki laj rakhna agar aadab-e-sajda bhul jaun main kab tak sochta rahta jahan ko yahi behtar tha jina bhul jaun