tum usi ko wajh-e-tarab kaho hum usi ko bais-e-gham kahen

tum usi ko wajh-e-tarab kaho hum usi ko bais-e-gham kahen
wahi ek fasana-e-ishq hai kabhi tum kaho kabhi hum kahen

kabhi zikr-e-mehr-o-wafa karen kabhi dastan-e-alam kahen
bade e'timad se wo sunen bade e'timad se hum kahen

jise inqalab na chhu saka use tu ne khud hi mita diya
wahi ek dil ka sanam-kada jise aabru-e-haram kahen

wahi dil-kharash si ek nazar jo ba-qadr-e-zauq hai neshtar
use koi tarz-e-sitam kahe hum ada-e-pursish-e-gham kahen

tujhe ye khabar nahin saqiya ki hai mai-kashon ka maqam kya
ye unhin ki wusat-e-qalb hai ki khud apne zarf ko kam kahen

hama-arzu hama-be-khudi hama-bandagi hama-be-kasi
yahi chand lamhon ki zindagi ise kyun na fursat-e-gham kahen

'qamar' is se hum ko gharaz hi kya hai sabhi se us ka moamla
jo khuda kahen wo khuda kahen jo sanam kahen wo sanam kahen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close