tumhaare kaam agar aae muskurane mein to koi harj nahin mere tut jaane mein farokht ho gai har shai jo dil makan mein thi main itna kharch hua hun use kamane mein main apni jaan se jaunga hai ye sach lekin use bhi zakhm to aaenge aazmane mein wo ek lafz-e-mohabbat na bin saka mujh se hazar bar mita hun jise banane mein tumhein to sirf khabar hai charagh jalne ki hamare hath jale hain use jalane mein tumhaare wasl ki masti thi aur mai-khana sharab le ke gaya tha sharab-khane mein imaraton mein mohabbat ka dewta hai wo hamare hath kate hain jise banane mein