dhundhta haq ko dar-ba-dar hai tu wae apne se be-khabar hai tu shan-e-haq aashkar hai tan se mujid-e-kull-e-khair-o-shar hai tu ek mein kya wajud-e-jumla-zuhur kul mein khud aap ba-asar hai tu qudrat-e-kaamila ko ghaur to kar bahr-e-yaktai ka guhar hai tu mit apni khudi khuda ko pa nafa hasil ho kya agar hai tu muqtadir aap har sabab ka hai is liye ho gaya bashar hai tu khair-o-shar ke hijab mein kab tak zulmat-e-kufr ka sahar hai tu teri hi shan-e-kul huwaida hai banda kahta hai kyun kidhar hai tu aap har shai mein jalwa-farma hain be-khabar kya hai ba-khabar hai tu mujh pe ilzam aa nahin sakta har tarah se idhar udhar hai tu koi kuchh qalb kya kare tujh ko be-ghul-o-ghash wo saf zar hai tu kah raha hai hamesha inni ana jumla aama ka rahbar hai tu jo hai manzur ho raha wahi kis natije ka muntazar hai tu bil-yaqin haq ki shan hai teri mukhtasar ye hai mukhtasar hai tu nam tera khuda-numa hai hijab dida-e-did ka basar hai tu koi pata nahin tujhe 'markaz' du-ba-du aap jalwa-gar hai tu