tumne kiya hai tumne ishaara bahut ghalat

tum ne kiya hai tum ne ishaara bahut ghalat
dariya bahut durust kinara bahut ghalat

is haar mein hai hath tumhaara bahut ghalat
tum ne kiya hai faisla sara bahut ghalat

hum dub jaen apne hi gham ke bahao mein
han han ghalat ghalat mere yara bahut ghalat

is kisht-e-dil se is ke dil-e-reg-zar tak
bahne laga hai khun ka dhaara bahut ghalat

afsos mujh ko is pe saza hijr ki mili
main ne likha tha nam tumhaara bahut ghalat

maidan mein ek fard bhi zinda na mil saka
shab-khun us ne aakhiri mara bahut ghalat

hum hain zamin ke log magar dekh ai falak
leta hai imtihan tu hamara bahut ghalat

hoga kisi to roz tumhaara hisab bhi
tum ne kisi gharib ko mara bahut ghalat

waqif tha apne ishq ke anjam se magar
phir bhi kisi pe jaan ko wara bahut ghalat

hum dil-zadon ke waste ye shab hi thik hai
nikla hai shab ka aakhiri tara bahut ghalat

afsos ai 'nabil' ye tum ne samajh liya
dil ko bhi jal bujha sa sharara bahut ghalat

chehra sadaqaton ka hua maskh ai 'nabil'
us ne bahaya jhut ka dhaara bahut ghalat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close