tut kar bikhre na suraj bhi hai mujh ko dar bahut habs andar se ziyaada aaj hai bahar bahut mujh ko bhi aata hai fan sahib-nawazi ka magar kya karun meri ana mujh se bhi hai khud-sar bahut gham-zada karti hai mujh ko bas darun-bini meri yun to main bhi dekhta hun khushnuma manzar bahut apni aankhen ghar pe rakh kar bhi tamashai hain log aur un ki is ada par khush hain bazigar bahut ab tarasha hi nahin jata kabhi paikar koi aaj bhi aazar bahut hain aaj bhi patthar bahut main kisi ki be-ghari ka kis liye matam karun zindagi khud aaj lagti hai mujhe be-ghar bahut gul-parasti par na kar israr ai 'manzur' tu dekh har ek mod par hain shahr mein patthar bahut