wo jo ab tak lams hai us lams ka paikar bane

wo jo ab tak lams hai us lams ka paikar bane
meri khwahish bhi ajab hai aaina patthar bane

ek hisar-e-rang mein bas sochta rahta hun main
kis tarah aandhi hawa ki zad pe koi ghar bane

raste panw banen to kaise tai hon raste
nind kaise aaegi jab jism hi bistar bane

khun-baha kis se talab ho kis ko qatil maniye
aap apni soch hi jab zahr ka khanjar bane

qatl ho jab tak na suraj ka khilegi kaise sham
rang hi bikhre na to kaise koi manzar bane

ek muddat samna khud jin ko andhe-pan ka tha
raushni milte hi khud aankhon ke sauda-gar bane

khun-e-dil mein dub jaega to lab par aaega
jis ko main likhun wahi 'manzur' harf-e-tar bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close