ubhre jo KHak se wo tah-e-KHak ho gae

ubhre jo khak se wo tah-e-khak ho gae
sab paemal-e-gardish-e-aflak ho gae

rakhti thi lag mere gareban se nau-bahaar
daman gulon ke bagh mein kyun chaak ho gae

the dida-ha-e-khushk mohabbat ki aabru
kam-bakht un ke samne namnak ho gae

aisa bhi kya mizaj qayamat ka din hai aaj
pesh-e-khuda tum aur bhi bebak ho gae

aate hi bazm-e-waz se chalte bane 'hafiz'
do harf sun ke sahib-e-idrak ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close