ujala de charagh-e-rahguzar aasan nahin hota

ujala de charagh-e-rahguzar aasan nahin hota
hamesha ho sitara ham-safar aasan nahin hota

jo aankhon ot hai chehra usi ko dekh kar jina
ye socha tha ki aasan hai magar aasan nahin hota

bade taban bade raushan sitare tut jate hain
sahar ki rah takna ta-sahar aasan nahin hota

andheri kasni raaten yahin se ho ke guzrengi
jala rakhna koi dagh-e-jigar aasan nahin hota

kisi dard-ashna lamhe ke naqsh-e-pa saja lena
akele ghar ko kahna apna ghar aasan nahin hota

jo tapke kasa-e-dil mein to aalam hi badal jae
wo ek aansu magar ai chashm-e-tar aasan nahin hota

guman to kya yaqin bhi waswason ki zad mein hota hai
samajhna sang-e-dar ko sang-e-dar aasan nahin hota

na bahlawa na samjhauta judai si judai hai
'ada' socho to khushbu ka safar aasan nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close