umid ki koi chadar to samne aae main ruk bhi jaun tera ghar to samne aae main rah-e-ishq mein khud ko fana bhi kar dunga mare habib wo manzar to samne aae hamare bazu ka duniya kamal dekhegi adu ka koi bhi lashkar to samne aae mein ehtiram se dastar is ke sar bandhun wo fan-shanas sukhnawar to samne aae karunga umr bhar us par main pyar ki barish wo khush-jamal sa paikar to samne aae sar-e-niyaz jhukega khud us ke qadmon mein wo le ke hath mein khanjar to samne aae mein ek sang hun mujh mein hain suraten pinhan mujhe tarashne aazar to samne aae fida-e-ishq hun marne ka dar nahin 'firdaus' mujhe dubone samundar to samne aae