umr bhar bojh uthaya to nahin ja sakta har talluq ko nibhaya to nahin ja sakta aap is bar bhi diwar mein chunwa den mujhe ab ke bhi sar ye jhukaya to nahin ja sakta roz marne ka hunar jis ne sikhaya hai mujhe us ka ehsan bhulaya to nahin ja sakta chashm-e-bina hai magar aql se na-bina hain aaina un ko dikhaya to nahin ja sakta tum ne ek umr mere dil pe hukumat ki hai tum ko pal bhar mein bhulaya to nahin ja sakta jin ko alfaz se dasne ka hunar aata hai hath ab un se milaya to nahin ja sakta jis qadar sang-zani chahiye kar len mujh par sang-zadi ko rulaya to nahin ja sakta hon makin jin mein kai sal se zinda lashen un makanon ko sajaya to nahin ja sakta jis ki khamoshi mein aaseb sukun karte hon aisa virana basaya to nahin ja sakta tu but-e-ishq nahin tu to khuda hai mera ab tujhe hath lagaya to nahin ja sakta