be-KHudi mein pahlu-e-iqrar pahle to na tha

be-khudi mein pahlu-e-iqrar pahle to na tha
itna ghafil wo but-e-ayyar pahle to na tha

ahl-e-dil jate hain ab dar-o-rasan ki rah se
is qadar mushkil visal-e-yar pahle to na tha

misr ki galiyan utar aai hain apne shahr mein
husn walon ka ye haal-e-zar pahle to na tha

aa rahi hai khud-bakhud shayad koi manzil qarib
mehrban yun qafila-salar pahle to na tha

us mein bhi kuchh raaz hai warna dayar-e-husn mein
dard-mandon ka koi gham-khwar pahle to na tha

hosh mein aane lage hain un bahaaron ke tufail
warna diwanon ka ye kirdar pahle to na tha

roz-o-shab apne liye hain qatl ke fatwe 'qatil'
mufti-e-shahr is qadar din-dar pahle to na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close